Monday, March 11, 2024

Couplets - Close to my heart

Chalo Ek baar Phir Ajnabi Ban Jaaye Hum Dono -  By Sahir Ludhianvi

vo afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin,
use ik khoob-soorat mod de kar chhodna achha. 
chalo ek baar phir ajnabi ban jaaye hum dono

Koi Dost Hai Na Raqeeb Hai - By Rana Sahri

Koi dost hai, na raqeeb hai,
tera sehar kitna ajeeb hai....

Woh jo ishq tha, woh junoon tha,
yeh jo hijre hai, yeh naseeb hai.........

Yahan kiska chehra padha karoon,
yahan kaun itna kareeb hai....

Main kise kahoon mere saath chal,
yahan sab ke sar pe saleeb hai....

Tujhe dekh kar main hun sochta,
Tu habib hai, ya raqeeb hai........

Aaj Ke Daur Mein Ae Dost Ye Manzar Kyun Hai - By Sudarshan Fakir

 Aaj Ke Daur Mein Ae Dost Ye Manjhar Kyoon Hai, 
Zakhm Har Sar Pe Har Ik Haath Mein Paththar Kyoon Hai. 

Jab Haqeeqat Hai Ke Har Zarre Mein Tu Rehta Hai, 
Fir Zamin Par Kahin Masjid Kahin Mandir Kyoon Hai

Apna Anjaam To Maaloom Hai Sabko 
Phir Bhi Apnee Nazron Mein Har Insaan Sikandar Kyoon Hai 

Zindagi Jeene Ke Qaabil Hi Nahin Ab "faakir" 
Warna Har Aankh Mein Ashkon Ka Samandar Kyoon Hai 

Bebasi Jurm Hai Hausla Jurm Hai - By Ayaz Jhansvi

bebasi jurm hai hausla jurm hai
zindagi teri ek ek ada jurm hai

ae sanam tere baare me kuch soch kar
apne baare me kuch sochna jurm hai

yaad rakhna tujhe mera ek jurm tha
bhul jaana tujhe dusra jurm hai

kya sitam hai ki tere haseen sehar me
har taraf gaur se dekhna jurm hai
bebasi jurm hai hausla jurm hai

Zindagi Se Badi Saza Hi Nahin - By Krishan Bihari Noor

Zindagi se badi saza hi nahin
Aur kya jurm hai pata hi nahi
Zindagi se badi saza hi nahin

Itne hisso mein baat gaya hoon main
Mere hisse mein kuch bacha hi nahi
Zindagi se badi saza hi nahin

Sach ghate ya badey to sach na rahey
Jhooth ki koi intehaa hi nahi

Jad do chaandi mein chahe sone mein
Aaiana jhooth bolta hi nahi
Zindagi se badi saza hi nahin


No comments: